zakhmon ko kureda hai to mazi nikal aaya sukhe hue dariyaon se pani nikal aaya us shakhs ko padhne mein badi chuk hui thi wo dost tha jo dushman-e-jaani nikal aaya tishna the bahut dhup mein bhige hue manzar kal raat to suraj se hi pani nikal aaya jo shakhs nahin jaanta islam ke mani hairat hai ki islam ka dai nikal aaya go us ne ghazal apne budhape mein kahi hai ghazlon mein magar rang-e-jawani nikal aaya