mahw aisa teri surat mein hai shaida tera

mahw aisa teri surat mein hai shaida tera
dekhta hai wo har ek shakl mein jalwa tera

hai jo kuchh aalam-e-fani mein wo sab tera hai
jab se hum bole yahi bole ki tera tera

tu kahin ho main tujhe dhund nikalunga zarur
tu hai matlub mera aur main joya tera

teri taswir mein ai jaan nazar aai meri shakl
meri surat mein nazar aaya jalwa tera

chaak-damani-e-ashiq ne ghazab kar dala
ai mere parda-nashin khul gaya parda tera

dil bhi raushan tere jalwe se hai aur aankhen bhi
har jagah nur nai shan se chamka tera

tu ho jis rang mein pahchanta hun main tujh ko
kabhi dhoka nahin khata hai shanasa tera

aaina hai ye isi mein nazar aaegi wo shakl
dekh ai talib-e-haq dil ho na maila tera

nam ginwane ko yun to hain bahut ahl-e-nazar
meri jaan par tera 'akbar' hi hai shaida tera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close