koi shikwa hai kahan be-sar-o-samani ka is mein bhi raaz nihan hai koi aasani ka baz auqat tamannaen bhi mar jati hain ek azab aisa bhi hota hai farawani ka bas yun hi sham se hai dil mera bechain bahut nahin koi bhi sabab meri pareshani ka mutmain hun main agar chhod ke duniya teri tir kyon sine mein lagta hai pashemani ka gum hua aa ke yahan jab to bahut pachhtaya use andaza na tha dil ki bayabani ka