munh-zabani quran padhte the pahle bachche bhi kitne budhe the ek parinda suna raha tha ghazal chaar chhe ped mil ke sunte the jin ko socha tha aur dekha bhi aise do-chaar hi to chehre the ab to chup-chap sham aati hai pahle chidiyon ke shor hote the raat utra tha shakh par ek gul chaar-su khushbuon ke pahre the aaj ki subh kitni halki hai yaad padta hai raat roe the ye kahan doston mein aa baithe hum to marne ko ghar se nikle the ye bhi din hain ki aag girti hai wo bhi din the ki phul barse the ab wo ladki nazar nahin aati hum jise roz dekh lete the aankhen kholin to kuchh na tha 'alwi' band aankhon mein lakhon jalwe the