lazzat-andoz-e-khalish hun sozan-e-taqdir ka si raha hun chaak apne daman-e-tadbir ka muskura kar is taraf chilman ko jumbish de gai zarra-zarra hil gaya yan zabt ki tamir ka le gaya har sunne wala apne apne rang mein asl matlab rah gaya lekin meri taqrir ka khun kar dil ko jhalak utthega sina nur se subh ka rang-e-shafaq dibacha hai tanwir ka ashk ka ek qatra-e-larzan sar-e-mizhgan hun main jun gul-e-shama-e-sahar hun muntazir ek tir ka ek lahn-e-muztarib hai meri mausiqi nahin mere naghmon mein asar hai shewan-e-dil-gir ka zindagi ek khwab-e-bedari hai bedari nahin maut hai pahla asar is khwab ki tabir ka is do-harfi lafz mein daftar ke daftar hain chhupe dil hai ek tumar-e-pinhan ishq ki tafsir ka kis se uljhega ye daman hi na hoga jab 'junun' kyon na saman hi mita dun khar-e-daman-gir ka