kuchh dubta ubharta sa rahta hai samne har lamha ek tilism-e-tamasha hai samne udti hai sehn-e-dil mein tahi-manzari ki khak rangon ka ek hujum sa bikhra hai samne bikhri hui hai dhund sar-e-shisha-e-talab be-rang-o-nur aks-e-tamanna hai samne zulmat-e-intishaar mein aankhen khuli rakho tum jis ko dhundte ho wo duniya hai samne ek khauf-e-be-panah hai aankhon ke aar-par tarikiyon mein dubta lamha hai samne hum phir bhi justuju mein bhatakte hain dar-ba-dar haalanki har qadam pe wo rahta hai samne