lakir-e-sang ko anqa-misal hum ne kiya bhula diya use dil se kamal hum ne kiya shuru us ne kiya tha tamasha qurbat ka phir us ke baad to sara dhamal hum ne kiya ulat ke rakh diye hum ne junun ke sare usul junub-e-dasht ko shahr-e-shimal hum ne kiya farogh-e-zakhm se raushan rakha siyahi ko ata-e-hijr ko najm-e-visal hum ne kiya basa liya teri khushbu ko mazra-e-jaan mein shaguft-e-gham tujhe kaisa nihaal hum ne kiya ek aur mauj thi is mauj-e-agahi se udhar so auj-e-aql ko nazr-e-zawal hum ne kiya bahana koi nahin ab safar mein rahne ka zamin-e-khwab tujhe paemal hum ne kiya ye be-niyazi zaruri thi kar-e-ulfat mein so khud ka dhyan na tera khayal hum ne kiya saba to khud hi mukhatib thi ai faza-e-qafas gawah rahiyo na koi sawal hum ne kiya dhanak si ban gai goyai se samaat tak ye kis ke rang ko juzw-e-maqal hum ne kiya hamare zakhm ki surkhi badha gaya 'arshad' wo barg-e-sabz jise dast-mal hum ne kiya