koi bhi shai kahan nayab hai hamare liye khula hua to dar-e-khwab hai hamare liye hamein hi raushni us ki nazar nahin aati charagh to pas-e-mehrab hai hamare liye palak jhapakte hi sab kuchh naya sa lagta hai ye zindagi bhi koi khwab hai hamare liye utarte jate hain pahnaiyon mein dariya ki ki jalti shama tah-e-ab hai hamare liye hamin ne band kiye hain tamam darwaze ye shahr aaj bhi betab hai hamare liye bas ek mauj ne ye haal kar diya apna har ek mauj hi girdab hai hamare liye har ek shakhs ke dawe alag alag 'alam' agarche baam pe mahtab hai hamare liye