koi ye kah de gulshan gulshan lakh balaen ek nasheman qatil rahbar qatil rahzan dil sa dost na dil sa dushman phul khile hain gulshan gulshan lekin apna apna daman ishq hai pyare khel nahin hai ishq hai kare-shisha-o-ahan khair mizaj-e-husn ki ya-rab tez bahut hai dil ki dhadkan aa ki na jaane tujh bin kab se ruh hai lasha jism hai madfan aaj na jaane raaz ye kya hai hijr ki raat aur itni raushan umren bitin sadiyan guzrin hai wahi ab tak ishq ka bachpan tujh sa hasin aur khun-e-mohabbat wahm hai shayad surkhi-e-daman barq-e-hawadis allah allah jhum rahi hai shakh-e-nasheman tu ne sulajh kar gesu-e-jaanan aur badha di shauq ki uljhan rahmat hogi talib-e-isyan rashk karegi paki-e-daman dil ki mujassam aaina-saman aur wo zalim aaina-dushman baithe hum har bazm mein lekin jhad ke utthe apna daman hasti-e-shaer allah allah husn ki manzil ishq ka maskan rangin fitrat sada tabiat farsh-nashin aur arsh-nasheman kaam adhura aur aazadi nam bade aur thode darshan shama hai lekin dhundli dhudli saya hai lekin raushan raushan kanton ka bhi haq hai kuchh aakhir kaun chhudae apna daman chalti phirti chhanw hai pyare kis ka sahra kaisa gulshan