koi dawa na de sake mashwara-e-dua diya chaaragaron ne aur bhi dard dil ka badha diya donon ko de ke suraten sath hi aaina diya ishq bisorne laga husn ne muskura diya zauq-e-nigah ke siwa shauq-e-gunah ke siwa mujh ko buton se kya mila mujh ko khuda ne kya diya thi na khizan ki rok-tham daman-e-ikhtiyar mein hum ne bhari bahaar mein apna chaman luta diya husn-e-nazar ki aabru sanat-e-barhaman se hai jis ko sanam bana liya us ko khuda bana diya dagh hai mujh pe ishq ka mera gunah bhi to dekh us ki nigah bhi to dekh jis ne ye gul khila diya ishq ki mamlikat mein hai shorish-e-aql-e-na-murad ubhra kahin jo ye fasad dil ne wahin daba diya naqsh-e-wafa to main hi tha ab mujhe dhundte ho kya harf-e-ghalat nazar pada tum ne mujhe mita diya khubs-e-darun dikha diya har dahan-e-ghaliz ne kuchh na kaha 'hafiz' ne hans diya muskura diya