koi daulat ka pujari ho koi tadbir ka

koi daulat ka pujari ho koi tadbir ka
war chal jata hai har ek shakhs par taqdir ka

ek naya gham roz milta hai purane gham ke sath
silsila tutega kab is dard ki zanjir ka

sazishon ke jal hi phaile hain har ek rah mein
pyar ka ranjha bhi khud mujrim hai apni hir ka

dhire dhire zakhm par angur aa hi jaega
chup hi rahna chahiye kya faeda tashhir ka

surkh aanchal mein dahakte phul ki surat 'suhail'
ab talak aankhon mein naqsha hai usi taswir ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close