ujde dil-o-dimagh ko aabaad kar sakun aisa to kuchh kiya nahin jo yaad kar sakun aakhir ko aadmi hun kabhi chahta hai dil khud ko tere khayal se aazad kar sakun khole zaban wo jo use jaanta na ho mera to munh nahin hai ki fariyaad kar sakun ek umr kat gai magar ab tak hai justuju din katne ka fan koi ijad kar sakun apne hi gham ghalat hon sukhan se bahut hai ye aisa hunar kahan ki ise shad kar sakun barbaad ho ke lautne wala hun main 'suhail' aaya tha yun ki dahr ko aabaad kar sakun