kyun hijr ke shikwe karta hai kyun dard ke rone rota hai ab ishq kiya to sabr bhi kar is mein to yahi kuchh hota hai aaghaz-e-musibat hota hai apne hi dil ki shamat se aankhon mein phul khilata hai talwon mein kante bota hai ahbab ka shikwa kya kijiye khud zahir o baatin ek nahin lab upar upar hanste hain dil andar andar rota hai mallahon ko ilzam na do tum sahil wale kya jaano ye tufan kaun uthata hai ye kashti kaun dubota hai kya jaaniye ye kya khoega kya jaaniye ye kya paega mandir ka pujari jagta hai masjid ka namazi sota hai khairaat ki jannat thukra de hai shan yahi khuddari ki jannat se nikala tha jis ko tu us aadam ka pota hai