na koi khwab kamaya na aankh khali hui tumhaare sath hamari bhi raat kali hui khuda ka shukr ada kar wo bewafa nikla khushi mana ki teri jaan ki bahaali hui zara se khwab bune the ki sans phul gai qadam dukan pe rakha tha ki jeb khali hui wafa ke bare mein logon ki rae thik nahin briadri se ye khatun hai nikali hui tumhi to sar pe bithae hue the duniya ko tumhi pe bhaunk rahi hai tumhaari pali hui main kaise dekhun rawa-dariyon ko mitte hue ye dagh-bel hai mere badon ki dali hui jo ahl-e-naqd-o-nazar hain idhar bhi ghaur karen ki ye ghazal bhi hai tarkib se nikali hui ye qafiya badi diqqat ke sath nazm hua bade hunar se ye aurat mrs 'jamali' hui