koi dekhe to ye andaz satane wala mujh se ghafil hai mere khwab mein aane wala baz auqat ye dekha hai teri galiyon mein rasta bhul gaya rah batane wala dars-e-ibrat mera anjam hai duniya ke liye ab teri baaton mein koi nahin aane wala gumrahi ka mujhe ehsas dila deta hai baz auqat koi thokaren khane wala mithi mithi si mere dil mein kasak chhod gaya khalwat-e-zehn mein chupke se dar aane wala ghar mein ye jashn-e-charaghan ka saman kya mani is kharabe mein bhala kaun hai aane wala apne aamal-o-aqaed ko parakhte rahiye ab koi aur payambar nahin aane wala kya kahun kaun hai mauzu-e-sukhan ai 'tahir' ek kirdar tarasha hai fasane wala