koi to saughat us ke shahr ki ghar le chalo kuchh nahin to jism par zakhmon ki chadar le chalo pyar ke bosida phulon ki yahan qimat nahin shish-mahlon se guzarna hai to patthar le chalo honge arbab-e-tamasha mein kuchh ahl-e-dard bhi chand aansu bhi tabassum mein chhupa kar le chalo raat jab bhigi to sae ne mujhe aawaz di main hi tanhai ka sathi hun mujhe ghar le chalo jaane kaise kaise sahraon mein ho apna guzar dosto aankhon mein ashkon ka samundar le chalo dad-khwahi ko ye tanha zakhm-e-sar kafi nahin munsifon ke pas patthar bhi utha kar le chalo der se subhen khadi hain dar pe aaina-ba-dast zindagi ko ab zara khwabon se bahar le chalo mujrim-e-haq shahr mein mere siwa koi nahin sang-andazon ki basti mein mera sar le chalo raat us ke lams ki khushbu ne chupke se kaha ya yahin rah jao tum bhi ya mujhe ghar le chalo 'tahir' apne sar kisi ka ye bhi kyon ehsan rahe apni gardan ke liye khud apna khanjar le chalo