raaton ke andheron mein ye log ajab nikle sab nam-o-nasab wale be-nam-o-nasab nikle tamir-pasandi ne kuchh zist par uksaya kuchh maut ke saman bhi jine ka sab nikle ye nur ke saudagar khud nur se aari hain gardun pe mah-o-anjum tanwir-talab nikle ye dasht ye sahra sab viran hain barson se is samt bhi diwana takbir ba-lab nikle tahzib ki bebaki aisi to na thi pahle hum jab bhi kahin nikle ta-hadd-e-adab nikle taskin ke liye hum ne jin se bhi guzarish ki hum se bhi ziyaada wo taskin-talab nikle hasti ki masafat mein apna jinhen samjha tha jab waqt pada 'farhat' wo mohr-ba-lab nikle