koi dhun ho main tere git hi gae jaun dard sine mein uthe shor machae jaun khwab ban kar tu barasta rahe shabnam shabnam aur bas main isi mausam mein nahae jaun tere hi rang utarte chale jaen mujh mein khud ko likkhun teri taswir banae jaun jis ko milna nahin phir us se mohabbat kaisi sochta jaun magar dil mein basae jaun ab tu us ki hui jis pe mujhe pyar aata hai zindagi aa tujhe sine se lagae jaun yahi chehre mere hone ki gawahi denge har nae harf mein jaan apni samae jaun jaan to chiz hai kya rishta-e-jaan se aage koi aawaz diye jae main aae jaun shayad is rah pe kuchh aur bhi rahi aaen dhup mein chalta rahun sae bichhae jaun ahl-e-dil honge to samjhenge sukhan ko mere bazm mein aa hi gaya hun to sunae jaun