lafz likhta hun maani khol kar baat mein puri kahani khol kar ruh ke chhaale ubhar aate hain phir dekhta hun jab jawani khol kar ek ke andar hazaron thin rakhi ek din dekha kahani khol kar lag gaya hathon mein tab be-rang khun main ne jab dekha tha pani khol kar khamushi apni bacha leta hun yun bolta hun be-zabani khol kar