mata-e-zindagi ab hijr ki babat khulegi

mata-e-zindagi ab hijr ki babat khulegi
juda hain yani milne ki koi surat khulegi

ufuq par dubti khushbu se phailegi udasi
nigar-e-sham-e-gham se shahr ki rangat khulegi

jo ek pur-shor qurbat hum guzar aae hain us ki
akele-pan mein to kuchh aur hi shiddat khulegi

khulegi be-sabaati gul ki ek mausam mein ja kar
ye dil ki be-sabaati to ba-yak saat khulegi

nafas ki anjuman mein is purane aaine par
teri yaadon ki dastak se nai hairat khulegi

tasarruf mein rahegi kab zarurat umr bhar ki
bacha rakhne ki khatir kab koi mohlat khulegi

bas andaze lagae jaenge sail-e-bala ke
baha le jaegi sab kuchh to ye aafat khulegi

qayamat ka yaqin tha par nahin malum tha ye
bapa hogi qayamat jab to ye khilqat khulegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close