zulf teri ne pareshan kiya ai yar mujhe teri aankhon ne kiya aap sa bimar mujhe dil bujha jae hai aghyar ki shorish pe mera sard karti hai teri garmi-e-bazar mujhe aql hi maujib-e-taklif hui hai nadan kar gai be-khabari aa ke khabar-dar mujhe takht aur chhitr salatin ko mubarak howe bas hai kuche mein tere saya-e-diwar mujhe jun misal us ki numudar hui tun hi 'bayan' tapish-e-dil ne kiya khwab se bedar mujhe