koi hamrah nahin rah ki mushkil ke siwa hasil-e-umr bhi kya hai gham-e-hasil ke siwa ek sannata musallat tha guzargahon par zindagi thi bhi kahan kucha-e-qatil ke siwa har qadam hadse har gam marahil the yahan apne qadmon mein har ek shai rahi manzil ke siwa tha misali jo zamane mein samundar ka sukut kaun tufan uthata raha sahil ke siwa apne markaz se har ek chiz gurezan nikli laila har bazm mein thi khalwat-e-mahmil ke siwa apni rahon mein to khud boe hain kante us ne dushman-e-dil ki nahin aur koi dil ke siwa apni taqdir tha barbaad-e-mohabbat hona mahfilen aur bhi thin aap ki mahfil ke siwa