qarya qarya khak udai kucha-gard faqir hue purab pachchhim dhunda us ko aakhir gosha-gir hue kaun hain ye kya rabt tha un se kya kahiye kuchh yaad nahin ye chehre kab dil mein utre kis lamhe taswir hue sau pairae dhunde phir bhi aaj ke din tak aajiz hain hae wo baat jo kah bhi na pae aur daftar tahrir hue sadha gahri soch mein dubi sadiyan hum par sarf huin ek do baras ki baat nahin hum qarnon mein tamir hue wo shab wo shab-khun adu ka kis uslub bayan karen ghayal kaise pahron tadpe hum kis taur asir hue kya main kya tu aaj bhi donon khak hain kal bhi khak 'bashir' jina un ka marna un ka jo wajh-e-khair-e-kasir hue