main pasban-e-bagh-e-haqiqat se dar gaya so dasht-e-dil ki khak udane se mar gaya bahta raha main sahil-e-duniya ki ret par aakhir badan ki khak sameti to ghar gaya kuchh to mere sukhan ki hararat se khil utha kuchh main tere jamal ke sadqe sanwar gaya pahle to khair dil mein teri gard-e-yaad thi par ab to wo ghubar bhi dil se utar gaya aawaz de rahe hain mujhe wahshiyan-e-shahr aur bain kar rahe hain ki 'fahmi' kidhar gaya