koi junun koi sauda na sar mein rakkha jae bas ek rizq ka manzar nazar mein rakkha jae hawa bhi ho gai misaq-e-tiragi mein fariq koi charagh na ab rah-guzar mein rakkha jae usi ko baat na pahunche jise pahunchni ho ye iltizam bhi arz-e-hunar mein rakkha jae na jaane kaun se tarkash ke tir kab chal jaen nishan-e-mehr kaman-e-sipar mein rakkha jae wafa guman hi thahri to kya zarur ki ab lihaz-e-ham-safari bhi safar mein rakkha jae har ek se puchhte phirte hain tere khana-ba-dosh azab-e-dar-ba-dari kis ke ghar mein rakkha jae hamein bhi aafiyat-e-jaan ka hai khayal bahut hamein bhi halqa-e-na-moatabar mein rakkha jae