koi kamar ko teri kuchh jo ho kamar to kahe ki aadmi jo kahe baat soch kar to kahe meri haqiqat-e-pur-dard ko kabhi us se ba-ah-o-nala na kahwe ba-chashm-e-tar to kahe ye aarzu hai jahannam ko bhi ki aatish-e-ishq mujhe na shola gar apna kahe sharar to kahe ba-qadr-e-maya nahin gar har ek ka rutba o nam to han habab ko dekhen koi guhar to kahe kahe jo kuchh mujhe naseh nahin wo diwana ki jaanta hai kahe ka ho kuchh asar to kahe jal utthe shama ke manind qissa-khwan ki zaban hamara qissa-e-pur-soz lahza bhar to kahe sada hai khun mein bhi mansur ke anal-haq ki kahe agar koi tauhid is qadar to kahe majal hai ki tere aage fitna dam mare kahega aur to kya pahle al-hazar to kahe bane bala se mera murgh-e-nama-bar bhanwra ki us ko dekh ke wo munh se khush-khabar to kahe har ek sher mein mazmun-e-girya hai mere meri tarah se koi 'zauq' sher-e-tar to kahe