tu hai gar mujh se khafa khud se khafa hun main bhi mujh ko pahchan ki teri hi ada hun main bhi ek tujh se hi nahin fasl-e-tamanna shadab wahi mausam hun wahi aab-o-hawa hun main bhi mujh ko pana ho to har lamha talab kar na mujhe raat ke pichhle pahar mang! dua hun main bhi sabt hun dast-e-khamoshi pe hina ki surat na-shunida hi sahi tera kaha hun main bhi jaane kis samt chalun kaun se rukh mud jaun mujh se mat mil ki zamane ki hawa hun main bhi yun na murjha ki mujhe khud pe bharosa na rahe pichhle mausam mein tere sath khila hun main bhi