tez mujh par jo sitamgar ki chhuri hoti hai kijiye kya ki lagi dil ki buri hoti hai mana karta hai tadapne se qafas mein sayyaad nale karta hun to gardan pe chhuri hoti hai har badi karti hai insan ko duniya mein halak sam-e-qatil hai wo aadat jo buri hoti hai ahl-e-dil ishq mein dam mar saken kya mumkin rag-e-jaan ke liye har sans chhuri hoti hai baith kyun baada-kashon mein ki hon gum hosh-o-hawas sohbat-e-ahl-e-kharabaat buri hoti hai