main apne aap se ghafil na yun hua hota mere bhi pas agar koi aaina hota zara tu soch ki itna hi kar liya hota mujhe kitab samajh kar hi padh liya hota tamam umr faqat ek aarzu hi rahi kiya tha pyar to phir tut kar kiya hota ye aur baat ki main tujh se dur hun lekin main tere pas bhi hota bhala to kya hota papiha sawanon mein yun pukarta na kabhi agar tu chandni raaton mein mil gaya hota meri bisat ke bare mein puchhne wale kisi faqir ka chehra hi padh liya hota karun to kis se karun main gila jahaalat ka ye aarzu thi ki main bhi padha likha hota