koi mila to kisi aur ki kami hui hai so dil ne be-talabi ikhtiyar ki hui hai jahan se dil ki taraf zindagi utarti thi nigah ab bhi usi baam par jami hui hai hai intizar use bhi tumhaari khush-bu ka hawa gali mein bahut der se ruki hui hai tum aa gae ho to ab aaina bhi dekhenge abhi abhi to nigahon mein raushni hui hai hamara ilm to marhun-e-lauh-e-dil hai miyan kitab-e-aql to bas taq par dhari hui hai banao sae hararat badan mein jazb karo ki dhup sehan mein kab se yunhi padi hui hai nahin nahin main bahut khush raha hun tere baghair yaqin kar ki ye haalat abhi abhi hui hai wo guftugu jo meri sirf apne-ap se thi teri nigah ko pahunchi to shairi hui hai