shahar ujde hue khwabon ke basae kya kya nind mein hum ne dar-o-baam sajae kya kya har qadam par kisi manzil ka guzarta tha guman rah chalte hue manzar nazar aae kya kya hum ki phir teri haqiqat pe nazar kar na sake zindagi tu ne hamein khwab dikhae kya kya ek sitara ki chamakta hai bahut dur kahin zulmat-e-shab mein hamein pas bulae kya kya mausam-e-gul mein tera hum se juda ho jaana yaad aae to hamein khun rulae kya kya kho se jate hain kahin us ka khayal aate hi hum use bhul ke bhi bhul na pae kya kya mundamil ho gae sab zakhm purane to magar dil ki ek taza kasak hum ko satae kya kya kya masafat hai ki hairan kiye deti hai har guzarta hua pal samne lae kya kya aansuon ne teri taswir bhi dhundli kar di naqsh pani pe magar hum ne banae kya kya likhne baithen jo kabhi umr-e-guzishta ka hisab ek ek lamha hamein yaad dilae kya kya kya kahen wo bhi hamein ras na aai 'makhmur' ek khushi jis ke liye ranj uthae kya kya