log KHwahan the so dil ho gaya kangal mera

log khwahan the so dil ho gaya kangal mera
tum bhi khush dekh ke ho jao bura haal mera

ishq ki ru se to main qais ka ham-zulf hua
jab wahi dasht-e-junun thahra hai susral mera

munh banae hue kyon pichhe padi hai duniya
pahle hi dil gham-e-furqat se hai pamal mera

hai rawan meri tabiat mein mohabbat aise
jazb hota hai kisi zarf mein sayyal mera

rul gaya chah-e-zanakhdan ke tilismat mein dil
gham-e-dauran se to bika na hua baal mera

apni tadbir ki khami pe main sar dhunta hun
haal-e-bad par koi mauqaf nahin filhaal mera

har qadam ek nai jang ke mutaradif hai
pichhle har sal se sangin hai ye sal mera

'sarfaraaz' apne zamane ko moharram na kahun
koi ramzan mubarak hai na shawwal mera


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close