koi muzhda na bashaarat na dua chahti hai roz ek taza khabar khalq-e-khuda chahti hai mauj-e-khun sar se guzarni thi so wo bhi guzri aur kya kucha-e-qatil ki hawa chahti hai shahr-e-be-mehr mein lab-basta ghulamon ki qatar nae aain-e-asiri ki bina chahti hai koi bole ke na bole qadam utthen na uthen wo jo ek dil mein hai diwar utha chahti hai hum bhi labbaik kahen aur fasana ban jaen koi aawaz sar-e-koh-e-nida chahti hai yahi lau thi ki ulajhti rahi har raat ke sath ab ke khud apni hawaon mein bujha chahti hai ahd-e-asudgi-e-jaan mein bhi tha jaan se aziz wo qalam bhi mere dushman ki ana chahti hai bahr-e-pamali-e-gul aai hai aur mauj-e-khizan guftugu mein rawish-e-baad-e-saba chahti hai khak ko ham-sar-e-mahtab kiya raat ki raat khalq ab bhi wahi naqsh-e-kaf-e-pa chahti hai