rokta hai gham-e-izhaar se pindar mujhe mere ashkon se chhupa le mere rukhsar mujhe dekh ai dasht-e-junun bhed na khulne pae dhundne aae hain ghar ke dar-o-diwar mujhe si diye hont usi shakhs ki majburi ne jis ki qurbat ne kiya mahram-e-asrar mujhe meri aankhon ki taraf dekh rahe hain anjum jaise pahchan gai ruh-e-shab-tar mujhe jins-e-virani-e-sahra meri dukan mein hai kya kharidega tere shahar ka bazar mujhe jaras-e-gul ne kai bar pukara lekin le gai rah se zanjir ki jhankar mujhe nawak-e-zulm utha dashna-e-andoh sambhaal lutf ke khanjar-e-be-nam se mat mar mujhe sari duniya mein ghani raat ka sannata tha sehn-e-zindan mein mile subh ke aasar mujhe