ye kya kaha ki gham-e-ishq nagawar hua mujhe tu jura-e-talkh aur sazgar hua sarishk-e-shauq ka wo ek qatra-e-nachiz uchhaalna tha ki ek bahar-e-be-kanar hua ada-e-ishq ki taswir khinch gai puri wufur-e-josh se yun husn be-qarar hua bahut latif ishaare the chashm-e-saqi ke na main hua kabhi be-khud na hushyar hua liye phiri nigah-e-shauq sare aalam mein bahut hi jalwa-e-husn aaj be-qarar hua jahan bhi meri nigahon se ho chala madum are bada ghazab ai chashm sehr-kar hua meri nigahon ne jhuk jhuk ke kar diye sajde jahan jahan se taqaza-e-husn-e-yar hua