koi na dekhe gunj hawa ki

koi na dekhe gunj hawa ki
nigaran hai ek zat khuda ki

kho gain chhoti chhoti udanen
phailte shahron mein chidiya ki

jitne sahra wo sab mere
sona hai mitti duniya ki

pahle apni tah ko pa le
dekh rawani phir dariya ki

main ne un aankhon ki khatir
phulon jaisi ek dua ki

un pathrili aankhon mein hai
ek chup chup taswir wafa ki

zat-safar ke lakhon raste
aabla-pai mujh tanha ki

darwaze ki ot se jhanke
yaad tumhaari shakl saba ki

gham andar ka nam hai 'khawar'
bahar aanch hai tez hawa ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close