kyun dil tere khayal ka hamil nahin raha ye aaina bhi did ke qabil nahin raha sahra-nawardiyon mein guzari hai zindagi ab mujh ko khauf-e-duri-e-manzil nahin raha arbab-e-rang-o-bu ki nazar mein khuda gawah kab ehtiram-e-kucha-e-qatil nahin raha zindan mein khamushi hai koi bolta nahin had ho gai ki shor-e-salasil nahin raha manus is qadar hue dariya ki mauj se sahil bhi e'tibar ke qabil nahin raha us waqt mujh ko dawat-e-jam-o-subu mili jis waqt main gunah ke qabil nahin raha