kyun qatl ke arman mein aazar uthaen gardan meri hazir hai wo talwar uthaen roke se meri tab-e-rawan ruk na sakegi raste mein mere lakh wo diwar uthaen jo dil mein tumhaare hai bata kyun nahin dete sadma jo uthana hai to yakbar uthaen kyun log hain khamosh zabun-haal pe apne aawaz sar-e-kucha-o-bazar uthaen khud hi jo pas-e-parda-e-asrar chhupe hain wo kaise bhala parda-e-asrar uthaen nilam jo karte hain yahan jins-e-wafa ko mumkin hi nahin naz-e-kharidar uthaen ye jurm-e-mohabbat nahin waiz ka muqaddar ye bar-e-gunah hum se gunahgar uthaen phirte hain jo aazad unhen kaise khabar ho zindan mein jo taklif-e-giraftar uthaen 'shahid' yahi likkha hai muqaddar mein hamare sadmat zamane mein lagatar uthaen