koi qusur nahin meri khush-gumani ka asar hai ye teri aankhon ki be-zabani ka kisi ne meri mohabbat ko kar liya mahfuz khayal aaya kisi ko to pasbani ka barae nam sa pul bhi nahin bana mujh se ki kuchh ilaj nahin tha teri rawani ka hamare dil ka alamnak daur hai shayad samajh rahe hain jise khel sab jawani ka wo dastan mukammal kare to achchha hai mujhe mila hai zara sa sira kahani ka