koi ranj hai na shikayaten mujhe apne hosh-e-parida se ye wo shama thi jo bhadak uthi meri aah-e-nim-kashida se meri wahshaton ki hai intiha ki kisi ka husn hai runuma kabhi mere daman-e-chaak se kabhi meri jeb-e-darida se main numud-e-husn-e-alast hun main charagh-e-ishq-ba-dast hun ye tajalliyat-e-bahaar hain mere rang-o-bu-e-parida se teri yaad meri anis hai teri yaad meri jalis hai meri zindagi ki numud hai teri aarzu-e-tapida se main haram mein mahw-e-niyaz tha main buton mein sajda-taraaz tha kabhi imtiyaz na ho saka mere zauq-e-hijr-chashida se koi aarzu-e-dili 'siraj' murad ko na pahunch saki koi phul bar na pa saka meri kisht-e-barq-rasida se