shauq us ka hum ne wasl mein bedar kar diya jina phir hum ne apna hi dushwar kar diya saqi ne apni kaifiyat-e-khas mujh ko di mai se nahin adaon se sarshaar kar diya us ki jhalak bhi pa na sake chhin gaya sukun dil khun mera khwahish-e-didar kar diya farigh kiya jahan ki tamannaon se hamein us ka karam hai apna talabgar kar diya khun aarzu ko karne mein lohe lage magar ye kaam hum ne aap ka sarkar kar diya main sab samajh gaya jo mujhe yar-e-ghaar ne ungli labon pe rakh ke khabar-dar kar diya aakhir meri nigah ko padh hi liya 'suhail' us ne mere irade ko gulnar kar diya