rahne ko ek aur badan chahiye mujhe

rahne ko ek aur badan chahiye mujhe
yani ki phir se taza ghutan chahiye mujhe

ya to mujhe yun kuchh bhi kabhi chahiye nahin
ya chahiye to chashm-zadan chahiye mujhe

ai gard-e-rah dekh mujhe dekh aur bata
ab kaun-se safar ki thakan chahiye mujhe

aankhon mein ek khwab ki be-gor lash hai
jis ke liye ye nind kafan chahiye mujhe

jaisa bhi hun main muskura leta hun kam hai kya
ab is ke baad kaunsa fan chahiye mujhe

tum par khula nahin hai abhi dard ka surur
tum bhi kahoge sirf jalan chahiye mujhe

'shiraaz' khamushi mein ye aawaz dab gai
kab se pukarta hun sukhan chahiye mujhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close