kya jaaniye kis baat pe maghrur rahi hun kahne ko to jis rah chalaya hai chali hun tum pas nahin ho to ajab haal hai dil ka yun jaise main kuchh rakh ke kahin bhul gai hun phulon ke katoron se chhalak padti hai shabnam hansne ko tere pichhe bhi sau bar hansi hun tere liye taqdir meri jumbish-e-abru aur main tera ima-e-nazar dekh rahi hun sadiyon se mere panw tale jannat-e-insan main jannat-e-insan ka pata puchh rahi hun dil ko to ye kahte hain ki bas qatra-e-khun hai kis aas pe ai sang-e-sar-e-rah chali hun jis hath ki taqdis ne gulshan ko sanwara us hath ki taqdir pe aazurda rahi hun qismat ke khilaune hain ujala ki andhera dil shoala-talab tha so bahar-haal jali hun