main anayas bhatakta raha virane mein achchha-khasa tha khuda us ke badan-khane mein bahr se khele hue sare shanawar ek din dub jate hain kisi chah-e-zanakhdane mein dard tufan-sifat hain inhen dariya mein utar mauj rukne ki nahin aankh ke paimane mein ek nuqsan tujhe kho ke saha kafi tha aur nuqsan hai is bar tujhe pane mein ek yahi baat bahut hai tera diwana hai aur kuchh baat nahin hai tere diwane mein