koi shafqat bhari sarkar nahin hai ghar mein jab se baba ki wo dastar nahin hai ghar mein umr ki badhti thakan sans ki bimar ghutan ek kamra bhi hawa-dar nahin hai ghar mein dukh sunaen kabhi ghabraen to sar takraen is tarah ki koi diwar nahin hai ghar mein kabhi aawaz mein marham kabhi mathe pe shikan main samajhti thi adakar nahin hai ghar mein moh leta hai wo guftar se duniya bhar ko baat karne ka rawadar nahin hai ghar mein jaan le lete hain kuchh sard rawayye aksar hum samajhte hain ki talwar nahin hai ghar mein wo ayaadat ke bahane se agar aa bhi gaya us se kah dena ki bimar nahin hai ghar mein kaun hai jo tumhein jate hue rokega 'sahar' kuchh rukawat koi inkar nahin hai ghar mein