raaz-e-fitrat se ayan ho koi manzar koi dhun saz-e-hasti se bhi nikle koi paikar koi dhun main wo aawaz jo ab tak hai samaat se pare main wo naghma abhi utri nahin jis par koi dhun ek ghazal chhed ke rota raha mujh mein koi ek saman bandh ke hansti rahi mujh par koi dhun unghne lagti hai jab panw ke chhaalon ki tapak chhed dete hain meri rah ke patthar koi dhun aql farman sunati rahi tuta na jumud raqs-e-wahshat ka taqaza tha mukarrar koi dhan waqt ki lai se ham-ahang jo hota hun nadim bain karti hai kahin ruh ke andar koi dhun