kyun-kar na lae rang gulistan nae nae gate hain rag murgh-e-khush-alhan nae nae shaer nae nae hain sukhan-dan nae nae paida hue hain ab to ghazal-khwan nae nae dilbar mata-e-dil ke hain khwahan nae nae karta hai husn ishq ke saman nae nae aaseb-e-ishq sar se utarta nahin mere likhta hai naqsh roz pari-khwan nae nae bahka ke tum ko koi laga le na rah par nikle ho aaj ghar se meri jaan nae nae zoron pe hain junun ki badaulat hamare hath hote hain tar tar gareban nae nae har roz ek wadi-e-nau sair-gah hai wahshat dikha rahi hai bayaban nae nae kis darja tang hun tere hathon se ai junun laun kahan se roz gareban nae nae gham ka guzar hai gah gahe khurmi ka dakhl aate hain roz ghar mere mehman nae nae surat se ek pari ki hamein ishq-e-taza hai diwane hum hue hain sulaiman nae nae har martaba zamane ko hota hai inqalab lati hai swang gardish-e-dauran nae nae mulk-e-adam hai ya koi nangon ka shahr hai har roz wan se aate hain uryan nae nae ek taza gul ka samna hota hai har baras deta hai dagh dil pe gulistan nae nae paband ek maqam ke hote nahin hain mard sheron ke waste hain niyastan nae nae us zulf ke khayal mein aankhen to band kar dikhlai denge khwab-e-pareshan nae nae kis kis tarah se chehre pe lahra ke aati hai karti hai naz zulf-e-pareshan nae nae aathon pahar hai ab to tabahi ka samna uthte hain roz ashk ke tufan nae nae roega kohna-sali mein ahd-e-shabab ko jab tut kar na niklenge dandan nae nae phirta nahin wo dast-e-nigarin kisi tarah karta hai zor panja-e-marjaan nae nae kar sair chashm-e-ghaur se jo zauq-e-sher hai mazmun dikhaega mera diwan nae nae hans hans ke bar bar na kyun-kar dikhaen aap nam-e-khuda nikale hain dandan nae nae