main ashraf hun to ye andaz kyon hai meri hasti mujhi par raaz kyon hai meri manzil hai jab arsh-e-mualla to phir kotahi-e-parwaz kyon hai kisi tufan ka hai pesh-khema ye sara shahr be-awaz kyon hai mariz-e-ishq ne kya kah diya ye pareshan itna chaara-saz kyon hai agar haiwaniyat shamil hai is mein to phir insaniyat par naz kyon hai nahin hai jo kisi surat bhi laeq usi ke waste eazaz kyon hai chhupana hai agar bebak gham ko to chehra karb ka ghammaz kyon hai