koi to aa ke mere dar ko khaTkhaTae bhi

koi to aa ke mere dar ko khatkhatae bhi
andheri raat mein jugnu sa jagmagae bhi

guman ke pinjre mein kab se koi parinda hai
kabhi to khole paron ko ki phadphadae bhi

ana ki dhup mein gum-sum khada hai kaun yahan
main chhanw hun mujhe dekhe wo muskurae bhi

wo meri sans ka jaise atut hissa hai
agar hai us ko bhi ehsas to jatae bhi

dhuan dhuan sa jo manzar dikhai deta hai
kabhi to dil mein wo chehra sa jhilmilae bhi

main aaina to nahin hun qubul hai lekin
kami hai kya mere andar koi batae bhi

tamam umr hi hansta raha hun main 'adil'
kabhi to nam hon ye aankhen koi rulae bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close