main ek bahta dariya hun

main ek bahta dariya hun
lekin kitna pyasa hun

rah mein gum-sum baitha hun
ek ek ka munh takta hun

tujh ko apna kahta hun
kitna bhola-bhaala hun

dhup mein tapta sahra hun
janam janam ka pyasa hun

phir tujh tak laut aaya hun
shayad khota sikka hun

aksar tere bare mein
sapne dekha karta hun

tu bhi ek khilauna hai
main bhi ek khilauna hun

meri fitrat chand si hai
ghatta badhta rahta hun

bachchon ki farmaish par
jhute wade karta hun

yaro kuchh dam lene do
dur se chal kar aata hun

mustaqbil ke bare mein
kya kya socha karta hun

'tahir' ghar ki chaukhat par
jaane kyon chup baitha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close